Azeez Adil

rozana koi kasa gadai ka uTha kar

Azeez Adil

Mardan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1977
rozāna koī kaasa gadā.ī kā uThā kar
kūche se guzar jaatā hai āvāz lagā kar
ye kaisā sitam hai ki dikhā.ī na de mujh ko
vo shaḳhs jo niklā nahīñ siine meñ samā kar
dil kis kī tasallī ke liye jalne lagā thā
dil kis ke liye raakh huā ḳhud ko jalā kar
ik ā.ina-bardār ke māthe pe likhā thā
sach bol magar jhuuT kī shīrīnī milā kar
duniyā kā har ik sāhab-o-muḳhtār bhī tujh sā
insān hai insāñ ko banāyā na ḳhudā kar
ye hijr-e-musalsal rahā ā.īn-e-mohabbat
is dard kī talḳhī se pareshāñ na huā kar
'ādil' ye sar-e-shām kahāñ jaane lagā hai
tū suut kī dastār meñ paivand lagā kar
Top Urdushayar.com