Azeez Adil

muKHtasar shab ki tawalat nahin ki ja sakti

Azeez Adil

Mardan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1977
muḳhtasar shab kī tavālat nahīñ kī jā saktī
kam kisī taur aziyyat nahīñ kī jā saktī
ham ne to ek parī-vash se mohabbat kī hai
log kahte haiñ mohabbat nahīñ kī jā saktī
laakh hote huuñ sabab tark-e-sukūnat ke magar
shahr-e-jāñ se kabhī hijrat nahīñ kī jā saktī
mere nādān mat is ko mirī fankārī samajh
ḳhud pe taarī kabhī vahshat nahīñ kī jā saktī
vasl par dil hī kisī kā na ho maa.il jab tak
hijr kī puurī zarūrat nahīñ kī jā saktī
shart mat rakh ki rah-e-ishq-e-butāñ meñ 'ādil'
vaqt kī rū se baġhāvat nahīñ kī jā saktī
Top Urdushayar.com