Azeez Adil

bana kar saneha koi tamasha ye karaata hai

Azeez Adil

Mardan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1977
banā kar sāneha koī tamāshā ye karātā hai
falak ma.asūm logoñ ko bahut aañsū rulātā hai
maiñ dil kī laash par nauha-kunāñ huuñ aur tū zālim
bulā kar shahr-dāroñ ko mirā chehra dikhātā hai
are had ho chukī bas be-hisī ye ahl-e-masnad kī
sar-e-bāzār lāshoñ kī koī bolī lagātā hai
yahāñ chaltā hai mere shahr meñ qānūn jañgal kā
yahāñ har memana koī darinda kaaT khātā hai
tujhe ma.alūm bhī hai ye nagar hai zulm-zādoñ kā
hai anqā adl yaañ zanjīr kis ḳhātir hilātā hai
use aatī faqat hai masnad-e-jāñ par ḳhud-ārā.ī
vo fāriġh baiTh kar bas ḳhālī taqrīreñ banātā hai
mire maulā mire bachchoñ ko rakh apne amaañ meñ tū
ki 'ādil' vaqt kā hālat pe merī muskurātā hai
Top Urdushayar.com