Azeez Adil

jab tak dar-e-aiwan jalaya nahin jata

Azeez Adil

Mardan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1977
jab tak dar-e-aivān jalāyā nahīñ jaatā
tab tak kisī hākim ko jagāyā nahīñ jaatā
zālim ke sitam se ho agar ḳhalq-e-ḳhudā tañg
duniyā use kyā maar girāyā nahīñ jaatā
pīrān-e-ajam kījiye tadbīr abhī aap
dil se to mire karb kā saayā nahīñ jaatā
maqdūr agar ho to vo pahuñchānā suhūlat
jamhūr ko uñglī pe nachāyā nahīñ jaatā
hālāt badal sakte haiñ karvaT kisī lamhe
ho jañg to ghoḌe ko sadhāyā nahīñ jaatā
'ādil' jo kamāyā huā hai dāġh-e-mohabbat
ye daaġh zamāne ko dikhāyā nahīñ jaatā
Top Urdushayar.com