Azeez Adil

alam zindagi mein kama kar to dekho

Azeez Adil

Mardan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1977
alam zindagī meñ kamā kar to dekho
nazar āñsūon se sajā kar to dekho
khaḌe hoñge shāna-ba-shāna tumhāre
hameñ tum kabhī aazmā kar to dekho
tumhārī galī meñ lagī raunaqeñ haiñ
sar-e-bām ik baar aa kar to dekho
tumheñ bhī javāban mohabbat milegī
mohabbat se dil meñ samā kar to dekho
maiñ ā.īna huuñ sach kahūñgā hamesha
mujhe merī rah se haTā kar to dekho
mujhe raushnī kā sahārā bahut hai
mujhe zulmato tum miTā kar to dekho
pahan lī hai 'ādil' ne dastār-e-ulfat
zarā haath us ko lagā kar to dekho
Top Urdushayar.com