Azeez Adil

sukh ki bohtat hai zindagi zaKHm de

Azeez Adil

Mardan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1977
sukh kī bohtāt hai zindagī zaḳhm de
merā dukh baañT kar phir koī zaḳhm de
justujū phir koī dil meñ rasta banā
phir se nākāmiyoñ kā vahī zaḳhm de
raushnī ho nazar-dar-nazar raushnī
ik kamī hai kamī-dar-kamī zaḳhm de
gum-shuda chāhatoñ kā vazīfa paḌhā
bolte manzaroñ kī galī zaḳhm de
tū mujhe zindagī kā qarīna sikhā
mujh pe ehsān kar dil-lagī zaḳhm de
dard kā zā.iqa bhuul baiThā huuñ maiñ
aisā kar tū mujhe is ghaḌī zaḳhm de
nutq-e-'ādil' kī shīrīnī kam ho zarā
talḳhī-e-hijr kī bekalī zaḳhm de
Top Urdushayar.com