Azeez Adil

bhar jaane do zara mera zarf-e-jigar abhi

Azeez Adil

Mardan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1977
bhar jaane do zarā mirā zarf-e-jigar abhī
zindān kā na kholnā tum aa ke dar abhī
utrī hai paat paat pe pāgal rutoñ kī dhuup
chuñdhiyā rahī hai is liye merī nazar abhī
muddat huī hai ātish-e-dil ko bujhe hue
sāñsoñ pe hai magar vo dhueñ kā asar abhī
uThne ko ranj-o-ġham ke bagūle haiñ dhuup meñ
sahrā-e-chashm meñ na banā rahguzar abhī
ik laaj hī nahīñ ye vafā ko ḳhirāj hai
badlī meñ chup rahā hai bhalā kyoñ qamar abhī
ya.anī ye muztarib sī nazar be-sabab nahīñ
ḳhat le ke aa rahā hai koī nāma-bar abhī
'ādil' abhī to aayā nikal kar hai chaah se
raste pe uljhanoñ ke nahīñ paañv dhar abhī
Top Urdushayar.com