kabhī dhīre kabhī ujlat se kiyā jaatā hai
kaam hijrat kā suhūlat se kiyā jaatā hai
ye vadī.at huā jazba hai atā hai rab kī
ishq bhī koī zarūrat se kiyā jaatā hai
itnā ḳhud-sar na huā kar mire marjān sifat
kuchh kinārā bhī adāvat se kiyā jaatā hai
yahī duniyā kā chalan jaan kar ai jān-e-ġhazal
rañg ḳhud par bhī zarūrat se kiyā jaatā hai
āḳhir-e-shab kī ḳhamoshī se yahī mujh pe khulā
hijr meñ sāmnā vahshat se kiyā jaatā hai
marhala-vār mohabbat kā safar ho 'ādil'
tai ye rasta ki riyāzat se kiyā jaatā hai