ziist kā khel rachāne kī zarūrat kyā hai
rote lamhāt sajāne kī zarūrat kyā hai
yaad jab mujh ko tire saare karam haiñ jānāñ
phir ye ehsān jatāne kī zarūrat kyā hai
ishq se ishq zarūrī hai magar jān-e-azīz
sab ko ye baat batāne kī zarūrat kyā hai
ek mauhūm sahārā hai guzāre shab ke
baar is kā bhī uThāne kī zarūrat kyā hai
maiñ ga.e vaqt ko āvāz nahīñ de saktā
yuuñ bhī āvāz lagāne kī zarūrat kyā hai
phuul joḌe meñ sajāne ke liye hote haiñ
phuul paanī meñ bahāne kī zarūrat kyā hai
us kā chehra nazar aa jaa.e ki 'ādil' vo shaḳhs
jāntā bhī hai zamāne kī zarūrat kyā hai