Azeez Adil

dast-e-saqi sharab hota hai

Azeez Adil

Mardan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1977
dast-e-sāqī sharāb hotā hai
ruḳh-e-jānāñ gulāb hotā hai
jaise hotā hai ek kār-e-gunāh
vaise kār-e-savāb hotā hai
jab vo detā hai dostī meñ fareb
dil mirā aab aab hotā hai
kisī dariyā-e-maujzan kī tarah
aañkh meñ bhī chanāb hotā hai
kaun is par hazār jaañ se fidā
maiñ hī merā javāb hotā hai
aks añgḌā.ī le bhī saktā hai
aa.ina mahv-e-ḳhvāb hotā hai
charḳh-e-raushan ke nuur se 'ādil'
band zulmat kā baab hotā hai
Top Urdushayar.com