Azeez Adil

sada-o-saz ka jahan bana ke dekhte hain hum

Azeez Adil

Mardan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1977
sadā-o-sāz kā jahāñ banā ke dekhte haiñ ham
na.ī ġhazal kā qāfiya uThā ke dekhte haiñ ham
vo jin kī muddatoñ se aa.ī ḳhair kī ḳhabar nahīñ
unheñ kanār-e-dasht-e-jāñ meñ jā ke dekhte haiñ ham
qayām dil ke faiz se haiñ ek dil meñ kar chuke
nazar jo ab raqīb se milā ke dekhte haiñ ham
haiñ qarya qarya dhuup meñ jhulas ga.e to kyā huā
sa.ūbatoñ ko ziist kī harā ke dekhte haiñ ham
kisī pe hālat-e-dil-e-tabāh khul nahīñ sake
nazar zamīn se na yuuñ uThā ke dekhte haiñ ham
mizāj-āshnā.iyoñ kī fursateñ na laao tum
karam-navāziyoñ ko ab girā ke dekhte haiñ ham
buland mauj ko sadā hai aa ke naav gher le
ki hausle zarā se nāḳhudā ke dekhte haiñ ham
Top Urdushayar.com