Azeez Adil

be-mehri-e-wafa ne puchho na kya diya hai

Azeez Adil

Mardan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1977
be-mehrī-e-vafā ne pūchho na kyā diyā hai
āh-e-vidā-e-shab ne siina jalā diyā hai
nālā-kanāñ haiñ bulbul bhañvaroñ meñ be-dilī hai
ab ke vo bijliyoñ ne gulshan jalā diyā hai
baazī pe apne sar kī ik husn-e-be-badal se
ham ne mohabbatoñ kā na.ara lagā diyā hai
andhī mohabbatoñ ne har sāhab-e-vafā ko
dariyā dikhā diyā hai sahrā dikhā diyā hai
phirte idhar udhar haiñ logo makāñ-ba-sar haiñ
muddat se chain apnā ham ne gañvā diyā hai
lahreñ uchhal paḌīñ haiñ ik nāznīñ ne apne
paanī meñ paañv rakh kar mahshar uThā diyā hai
jis ko bhī sauñp Daalā 'ādil' nizām dil kā
mushkil usī ne merā jiinā banā diyā hai
Top Urdushayar.com