Shahid Bhopali

saz-e-dil saz-e-junun saz-e-wafa kuchh bhi nahin

Shahid Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1927
sāz-e-dil sāz-e-junūñ sāz-e-vafā kuchh bhī nahīñ
vo na hoñ paas to jiine kā maza kuchh bhī nahīñ
jiine vāloñ ke liye is kī baḌī qīmat hai
marne vāloñ ke liye āb-e-baqā kuchh bhī nahīñ
maslahat kahtī hai logoñ se ki mere ghar meñ
is tarah aag lagī hai ki jalā kuchh bhī nahīñ
un ke hāthoñ meñ hai taqdīr jahāñ dīvāne
tere hāthoñ meñ lakīroñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
be-ḳhatā aise bhī dekhe haiñ jahāñ meñ tum ne
hai ḳhatā jin kā ye kahnā ki ḳhatā kuchh bhī nahīñ
jab se majrūh huī lazzat-e-ehsās-e-alam
dard meñ ġham meñ taḌapne meñ mazā kuchh bhī nahīñ
kyā batā.eñ ki ġham-e-dil ke alāva 'shāhid'
ham ko is shahr-e-nigārāñ se milā kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com