Shahid Bhopali

junun-e-shauq ki rahon mein jab apne qadam nikle

Shahid Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1927
junūn-e-shauq kī rāhoñ meñ jab apne qadam nikle
nigār-e-husn kī zulfoñ ke saare pech-o-ḳham nikle
ye be-nūrī mire ghar ke ujāloñ kī ma.āz-allāh
agar dekheñ añdhere to añdheroñ kā bhī dam nikle
ubhāre jā.iye jab tak na ubhre naqsh kāġhaz par
tarāshe jā.iye jab tak na patthar se sanam nikle
nahīñ dekhā thā jab tak ḳhud ko samjhe the na jaane kyā
shu.ūr-e-ishq le kar ā.ina-ḳhāne se ham nikle
ye hasrat hai sajā luuñ apne hoñToñ par hañsī meñ bhī
ghaḌī bhar ko mire dil se agar ehsās-e-ġham nikle
farāz-e-arsh tak kaise pahuñchte vo bhalā 'shāhid'
fazā-e-tūr kī had se na aage jo qadam nikle
Top Urdushayar.com