mohabbat mujh se kahtī thī zarā hoshyār dāman se
junūñ āvāz detā thā vo uljhe ḳhaar dāman se
mire ashk-e-musalsal rā.egāñ hone nahīñ detā
bahut nazdīk rahtā hai ḳhayāl-e-yār dāman se
sambhal o rahrav-e-rāh-e-talab manzil na kho jaa.e
lipaTtā hai ġhubār-e-rāh nā-hamvār dāman se
jabīñ-sā.ī kahāñ kī kis kā sajda kuchh jo qaabū ho
chhupā kar baiTh jā.ūñ āstān-e-yār dāman se
havā dete rahe dānista dīvāna samajh kar vo
junūñ hotā rahā akasr mirā bedār dāman se
ubhartī jaatī hai dāman pe ashk-e-ḳhūñ kī rañgīnī
numāyāñ hotā jaatā hai nayā gulzār dāman se
use tūfāñ kahūñ yā jān-e-sāhil kyā kahūñ 'shāhid'
na ubhre jazb ho kar ashk-e-dariyā-bār dāman se