chhoḌiye chhoḌiye ye bāteñ to afsāne haiñ
ham bhī dīvāne haiñ jo aap ke dīvāne haiñ
mar ke bhī aap ko rusvā nahīñ hone deñge
jal ke bad-nām jo karte haiñ vo parvāne haiñ
aaj insāñ ne bhulā Daale haiñ yazdāñ ke karam
ham ne to zulm bhī ehsān tire jaane haiñ
yuuñ to saa.e kī tarah saath vo rahte haiñ mire
phir bhī mahsūs ye hotā hai vo begāne haiñ
merā iz.hār-e-mohabbat na samajh paa.e aap
ye mire dukh ye mire dard to anjāne haiñ