ye qarz to merā hai chukā.egā koī aur
dukh mujh ko hai aur niir bahā.egā koī aur
kyā phir yūñhī dī jā.egī ujrat pe gavāhī
kyā terī sazā ab ke bhī pā.egā koī aur
anjām ko pahuñchūñgā maiñ anjām se pahle
ḳhud merī kahānī bhī sunā.egā koī aur
tab hogī ḳhabar kitnī hai raftār-e-taġhayyur
jab shaam Dhale lauT ke aa.egā koī aur
ummīd-e-sahar bhī to virāsat meñ hai shāmil
shāyad ki diyā ab ke jalā.egā koī aur
kab bār-e-tabassum mire hoñToñ se uThegā
ye bojh bhī lagtā hai uThā.egā koī aur
is baar huuñ dushman kī rasā.ī se bahut duur
is baar magar zaḳhm lagā.egā koī aur
shāmil pas-e-parda bhī haiñ is khel meñ kuchh log
bolegā koī hoñT hilā.egā koī aur