Aanis Moin

wo kuchh gahri soch mein aise Dub gaya hai

Aanis Moin

Multan, Punjab, Pakistan

1965-1992
vo kuchh gahrī soch meñ aise Duub gayā hai
baiThe baiThe nadī kināre Duub gayā hai
aaj kī raat na jaane kitnī lambī hogī
aaj kā sūraj shaam se pahle Duub gayā hai
vo jo pyāsā lagtā thā sailāb-zada thā
paanī paanī kahte kahte Duub gayā hai
mere apne andar ek bhañvar thā jis meñ
merā sab kuchh saath hī mere Duub gayā hai
shor to yuuñ uTThā thā jaise ik tūfāñ ho
sannāTe meñ jaane kaise Duub gayā hai
āḳhirī ḳhvāhish puurī kar ke jiinā kaisā
'ānas' bhī sāhil tak aa ke Duub gayā hai
Top Urdushayar.com