ye aur baat ki rañg-e-bahār kam hogā
na.ī rutoñ meñ daraḳhtoñ kā baar kam hogā
ta.alluqāt meñ aa.ī hai bas ye tabdīlī
mileñge ab bhī magar intizār kam hogā
maiñ sochtā rahā kal raat baiTh kar tanhā
ki is hujūm meñ merā shumār kam hogā
palaT to aa.egā shāyad kabhī yahī mausam
tire baġhair magar ḳhush-gavār kam hogā
bahut tavīl hai 'ānas' ye zindagī kā safar
bas ek shaḳhs pe dār-o-madār kam hogā