kitne hī peḌ ḳhauf-e-ḳhizāñ se ujaḌ ga.e
kuchh barg-e-sabz vaqt se pahle hī jhaḌ ga.e
kuchh āñdhiyāñ bhī apnī muāvin safar meñ thiiñ
thak kar paḌāv Daalā to ḳheme ukhaḌ ga.e
ab ke mirī shikast meñ un kā bhī haath hai
vo tiir jo kamān ke panje meñ gaḌ ga.e
suljhī thiiñ gutthiyāñ mirī dānist meñ magar
hāsil ye hai ki zaḳhmoñ ke Tāñke ukhaḌ ga.e
nirvān kyā bas ab to amaañ kī talāsh hai
tahzīb phailne lagī jañgal sukaḌ ga.e
is band ghar meñ kaise kahūñ kyā tilism hai
khole the jitne qufl vo hoñToñ pe paḌ ga.e
be-saltanat huī haiñ ka.ī ūñchī gardaneñ
bāhar saroñ ke dast-e-tasallut se dhaḌ ga.e