bāhar bhī ab andar jaisā sannāTā hai
dariyā ke us paar bhī gahrā sannāTā hai
shor thame to shāyad sadiyāñ biit chukī haiñ
ab tak lekin sahmā sahmā sannāTā hai
kis se bolūñ ye to ik sahrā hai jahāñ par
maiñ huuñ yā phir gūñgā bahrā sannāTā hai
jaise ik tūfān se pahle kī ḳhāmoshī
aaj mirī bastī meñ aisā sannāTā hai
na.ī sahar kī chaap na jaane kab ubhregī
chāroñ jānib raat kā gahrā sannāTā hai
soch rahe ho socho lekin bol na paḌnā
dekh rahe ho shahr meñ kitnā sannāTā hai
mahv-e-ḳhvāb haiñ saarī dekhne vaalī āñkheñ
jāgne vaalā bas ik andhā sannāTā hai
Darnā hai to an-jānī āvāz se Darnā
ye to 'ānis' dekhā-bhālā sannāTā hai