yaas kī manzil meñ tanhā.ī thī aur kuchh bhī nahīñ
jur.at-e-parvāz sharmā.ī thī aur kuchh bhī nahīñ
aaj maiḳhāne meñ izn-e-ām thā saaqī tire
is liye duniyā idhar aa.ī thī aur kuchh bhī nahīñ
aaj merī kashtī-e-tūfāñ-shikan ne dosto
Duub jaane kī qasam khaa.ī thī aur kuchh bhī nahīñ
log jis ko nāg-o-nāgin kā fusūñ kahne lage
tum ne shāyad zulf lahrā.ī thī aur kuchh bhī nahīñ
nuuh kī kashtī salāmat rah ga.ī ham bach ga.e
zāt-e-haq kī rahm-farmā.ī thī aur kuchh bhī nahīñ
manzil-e-sabr-o-razā meñ jab kabhī rakkhā qadam
haath kāñpe ruuh tharrā.ī thī aur kuchh bhī nahīñ
dostoñ ko jab sunāyā 'zabt' ne apnā kalām
ik sadā-e-marhabā aa.ī thī aur kuchh bhī nahīñ