Shiv Charan Das Goyal Zabt

jis taraf haal-e-junun mein tere diwane gae

Shiv Charan Das Goyal Zabt

Delhi, India

1918
jis taraf hāl-e-junūñ meñ tere dīvāne ga.e
pīchhe pīchhe pairvī meñ saare farzāne ga.e
imtihāñ kā vaqt hai aao madad ke vāste
phir na kahnā ham ġhalat nazroñ se pahchāne ga.e
shaiḳh-sāhab apnī izzat aap apne haath hai
mahfil-e-rindāñ meñ kyuuñ phir va.az farmāne ga.e
dekhiye is tarah paimān-e-vafā puurā huā
sham.a jab raushan huī marne ko parvāne ga.e
bulbul-o-gul kī kashish aur dast-e-gul-chīñ se gila
kyā vo samjhe jo chaman se sū-e-vīrāne ga.e
vo chaman meñ kyā ga.e goyā bahāreñ aa ga.iiñ
ham jidhar jaane lage haiñ saath vīrāne ga.e
zabt ne dekhā hai aisā vaqt bhī gulshan meñ jab
dād-ḳhvāhī ke liye gulchīñ se gul-ḳhane ga.e
Top Urdushayar.com