Shiv Charan Das Goyal Zabt

sar-e-turbat kahin ek husn ki taswir dekhi hai

Shiv Charan Das Goyal Zabt

Delhi, India

1918
sar-e-turbat kahīñ ik husn kī tasvīr dekhī hai
are o marne vaale yuuñ tirī taqdīr dekhī hai
sulagtī aag ke dariyā kiye tai Duub kar maiñ ne
taḌaptī zindagī se bāzī-e-shamshīr dekhī hai
na bahlā.eñ mujhe ab jhūTe va.adoñ se mire rahbar
bahut kuchh aaj tak un kī rah-e-tadbīr dekhī hai
pahāḌoñ ko hilā de munqalib kar de zamānoñ ko
nazar ne vo sadā-e-halqa-e-zanjīr dekhī hai
banā de mujh se jaise nā-balad ko bhī jo ik shā.ir
vo maiñ ne hazrat-e-'maḳhmūr' meñ tāsīr dekhī hai
ġharībī muflisī bechārgī ġham kī hirāsānī
ba-andāz-e-jalī har samt ye tahrīr dekhī hai
jo aahan mom kar de aur patthar ko bhī pighlā de
janāb-e-'zabt' kī bātoñ meñ vo tāsīr dekhī hai
Top Urdushayar.com