Ameen Adirai

qissa-e-KHak to kuchh KHak se aage tak tha

Ameen Adirai

Matiari, Sindh, Pakistan

1964
qissa-e-ḳhāk to kuchh ḳhaak se aage tak thā
giilī miTTī kā safar chaak se aage tak thā
maiñ bashar thā so mire paañv se lipTī thī zamīñ
aur charchā mirā aflāk se aage tak thā
sho.ala-e-ishq ġham-e-hijr sar-e-shahr-e-hujūm
ik garebān thā sad-chāk se aage tak thā
ḳhāmushī karb lahu rañg meñ Duube hue phuul
marhala dīda-e-namnāk se aage tak thā
lauT aayā huuñ yahī dekh ke ik dasht se meñ
ek jubba merī poshāk se aage tak thā
rah ga.iiñ shahr-e-ḳhirad meñ hī ulajh kar socheñ
ik jahāñ aur bhī idrāk se aage tak thā
dast-e-suqrāt pe rakkhe hue pyāle kā amiin
zahr-e-qātil kisī tiryāk se aage tak thā
Top Urdushayar.com