Ameen Adirai

rakh diya maine dar-e-husn pe haara hua ishq

Ameen Adirai

Matiari, Sindh, Pakistan

1964
rakh diyā maiñ ne dar-e-husn pe haarā huā ishq
aaj ke ba.ad mirī jaan tumhārā huā ishq
choT gahrī thī magar paañv nahīñ ruk paa.e
ham palaT aa.e vahīñ ham ko dobāra huā ishq
jhilmilātā hai mirī aañkh meñ aañsū ban kar
aa gayā raas mujhe dil meñ utārā huā ishq
sikka-e-vaqt badalte hī sabhī chhoḌ ga.e
zaat ke shahr meñ ik umr sahārā huā ishq
jab bhī hotī hai dar-e-ḳhvāb pe dastak koī
jaag jaatā hai tire hijr kā maarā huā ishq
merī palkoñ se Tapaktā hai lahū ban ke 'amīn'
terī galiyoñ meñ shab-o-roz guzāra huā ishq
Top Urdushayar.com