sho.ala-ḳhez-o-sho.ala-var ab har rah-e-tadbīr hai
zindagī goyā chitā kī boltī tasvīr hai
dekh kar sehn-e-chaman ko ye gumāñ hone lagā
goyā khīñchne ko na.ī sī phir koī tasvīr hai
āshiyāñ kī zindagī se ho chalā hai dil uchāT
phir vahī shauq-e-shahādat dil kā dāman-gīr hai
aaj az-rāh-e-karam bhar de labālab sāqiyā
zauq-e-mai-noshī mirā phir maujib-e-ta.azīr hai
aa rahī hai kaan meñ tauq-o-salāsil kī sadā
naġhma-bar-andāz phir se naġhma-e-zanjīr hai
kashtiyāñ mauj-e-havādis se na Takrā.eñ kahīñ
nāḳhudā kā ḳhvāb jaise tishna-e-ta.abīr hai
'zabt' kī hālat pe rotā hai zamāna dekhiye
fasl-e-gul par rū-e-shabnam us kī ye taqdīr hai