Shah Niyaz Ahmad Barelwi

ishq mein tere koh-e-gham sar pe liya jo ho so ho

Shah Niyaz Ahmad Barelwi

1775-1834
ishq meñ tere koh-e-ġham sar pe liyā jo ho so ho
aish-o-nishāt-e-zindagī chhoḌ diyā jo ho so ho
aql ke madrase se ho ishq ke mai-kada meñ aa
jām-e-fanā va be-ḳhudī ab to piyā jo ho so ho
laag kī aag lag uThī pamba tarah sā jal gayā
raḳht-o-jūd jān-o-tan kuchh na bachā jo ho so ho
hijr kī sab musībateñ arz kiiñ us ke rū-ba-rū
nāz-o-adā se muskurā kahne lagā jo ho so ho
duniyā ke nek-o-bad se kaam ham ko 'niyāz' kuchh nahīñ
aap se jo guzar gayā phir use kyā jo ho so ho
Top Urdushayar.com