Shah Niyaz Ahmad Barelwi

hum ko yan dar dar phiraya yar ne

Shah Niyaz Ahmad Barelwi

1775-1834
ham ko yaañ dar dar phirāyā yaar ne
lā-makāñ meñ ghar banāyā yaar ne
aap apne dekhne ke vāste
ham ko ā.īna banāyā yaar ne
apne ik adnā tamāshe ke liye
ham ko suulī par chaḌhāyā yaar ne
aap chhup ke ham ko kar ke rū-ba-rū
ḳhuub hī rusvā karāyā yaar ne
aap to but ban ke kī jalvagarī
aur hameñ kāfir banāyā yaar ne
Top Urdushayar.com