shab-e-firāq ke dam toḌe hue lamho
mirī tarah se sitāroñ kā nauha sunte ho?
dayār-e-jāñ meñ bagūloñ kā raqs jaarī hai
mire udaas ḳhayālo kivāḌ mat kholo
ga.e dinoñ kī mohabbat ye din malāl ke haiñ
na.e dinoñ kī mohabbat ko taaq par rakh do
kabhī milo to sahī bar-banā.e matlab hī
hameñ bhī baḳhsh do sarmāya-e-ġhurūr ab to
sunā hai kaliyāñ chaTaktī haiñ muskurāne se
ye tajraba hī sahī muskurā ke dekho to
tamām raat jo laḌtā rahā añdheroñ se
'ḳhayāl' ab vo sitāra bhī gum huā dekho