Mustahsin Khayal

ab ye khula ki ishq ka pindar kuchh nahin

Mustahsin Khayal

ab ye khulā ki ishq kā pindār kuchh nahīñ
dīvār gir ga.ī pas-e-dīvār kuchh nahīñ
jis ne samajh liyā thā mujhe āsamān par
ab jāntā hai vo mirā kirdār kuchh nahīñ
ḳhud mujh ko e'timād nahīñ apnī zaat par
inkār merā kuchh nahīñ iqrār kuchh nahīñ
vo bhī samajh gayā ki havas kā ye khel hai
ab mad.h-e-chashm-o-gesū-o-ruḳhsār kuchh nahīñ
mizrāb-e-ġham ne aur bhī ḳhāmosh kar diyā
go khiñch gayā hai saaz kā har taar kuchh nahīñ
maiñ bojh huuñ to pheñk de ai kurra-e-zamīn
kuchh aur tez ghuum ye raftār kuchh nahīñ
dhundlā gayā hai shīsha-e-ma.asūmiyat 'ḳhayāl'
ab infi.āl-e-chashm-e-gunahgār kuchh nahīñ
Top Urdushayar.com