ye māhtāb ye sūraj kidhar se aa.e haiñ
ye kaun log haiñ ye kis nagar se aa.e haiñ
yahī bahut hai mirī uñgliyāñ salāmat haiñ
ye dil ke zaḳhm to arz-e-hunar se aa.e haiñ
bahut se dard mudāvā-talab the pahle bhī
ab aur zaḳhm mire chārāgar se aa.e haiñ
girā diyā hai jise āñdhiyoñ ke zor ne kal
ye ḳhush-navā usī būḌhe shajar se aa.e haiñ
ruke nahīñ haiñ kahīñ qāfile tamannā ke
farāz-e-dār ye lambe safar se aa.e haiñ
ham apne-āp ko kuchh ajnabī se lagte haiñ
ki jab se lauT kar us ke nagar se aa.e haiñ
har ek ḳhat meñ nagīne jaḌe haiñ maiñ ne 'ḳhayāl'
bahut se lafz mirī chashm-e-tar se aa.e haiñ