Mustahsin Khayal

fareb-e-hijr mein lamhe sabhi visal ke hain

Mustahsin Khayal

fareb-e-hijr meñ lamhe sabhī visāl ke haiñ
ga.e dinoñ kī mohabbat ye din malāl ke haiñ
ga.ī rutoñ ke fasāne abhī nahīñ bhūle
ye jitne ḳhvāb haiñ ā.ankhoñ meñ guzre saal ke haiñ
ye apnā zarf hai ḳhāmosh ho ga.e ham log
bahut javāb agarche tire savāl ke haiñ
agarche vaj.h-e-aziyyat haiñ ab to yādeñ bhī
magar ye saare fasāne usī jamāl ke haiñ
ye dhuup chhāñv ke manzar 'ḳhayāl' dekh zarā
ye saare aks usī zāt-e-bā-kamāl ke haiñ
Top Urdushayar.com