jab ki mānūs thā ālām ke girdāb se bhī
mil gayā zahr-e-tamasḳhur ka.ī ahbāb se bhī
mere riste hue zaḳhmoñ kā mudāvā na huā
ye shikāyat hai tire shahr ke ādāb se bhī
ab unheñ aañkh kī putlī meñ chhupānā hogā
daaġh jo dhul na sake chashma-e-mahtāb se bhī
koī to zaḳhm mirā sāz-e-takallum chheḌe
koī to baat chale dīda-e-pur-āb se bhī
chashm-e-be-ḳhvāb ke ḳhvāboñ kī jo ta.abīr banā
vahī dikhlā gayā āñkhoñ ko ka.ī ḳhvāb se bhī
merā kyā zikr hai gulshan bhī hai maġhmūm 'ḳhayāl'
ho ga.e aap ḳhafā gosha-e-shādāb se bhī