phir mirī aañkh tirī yaad se bhar aa.ī hai
phir tasavvur meñ vahī jalva-e-zebā.ī hai
dasht-e-ġhurbat meñ vahī ālam-e-tanhā.ī hai
sar meñ saudā hai tirā aur tirā saudā.ī hai
kyā irāda hai mirī ziist kā maiñ kyā jānūñ
kashtī-e-umr mirī maut se Takrā.ī hai
ulfat-e-sāqī-e-mahvash ke tasavvur meñ sharāb
aaj sāġhar meñ parī ban ke utar aa.ī hai
aa.ina dekh ke lillāh na hairāñ hoñ aap
is meñ mastūr jo afsāna-e-ra.anā.ī hai
ek hañgāma-e-mahshar hai bapā gulshan meñ
phir se ḳhatre meñ koī ahd-e-shakebā.ī hai
aate haiñ zabt kī pursish ke liye vo shāyad
phir se jumbish meñ mirā zauq-e-tamāshā.ī hai