Mustahsin Khayal

is KHizan ki rut mein apna sath achchha rah gaya

Mustahsin Khayal

is ḳhizāñ kī rut meñ apnā saath achchhā rah gayā
sab parā.e ho ga.e ik maiñ hī apnā rah gayā
zindagī hamvār thī to saath thā amboh ek
zindagī ke moḌ par pahuñchā to tanhā rah gayā
kal sajā thā jin ke chehroñ par mohabbat kā naqāb
kitnī hairat se unheñ maiñ aaj taktā rah gayā
ek saaya thā chalā sub.h-e-azal mujh se tavīl
āfatoñ kā āftāb aayā to chhoTā rah gayā
vo zamāna thā kabhī ki thā hujūm ik sub.h o shaam
yaad thā sab kuchh hameñ bas yaad itnā rah gayā
jo kisī ke jism kā kal tak rahā thā ik libās
ab alaihida yuuñ huā ki koī nañgā rah gayā
har hasīñ chehre pe jam kar rah ga.ī mausam kī gard
har hasīñ chehra mire albam kā dhundlā rah gayā
maiñ bhalā kaise karūñ pābandi-e-ahl-e-fareb
maslahat meñ Duub kar kaise vo sachchā rah gayā
jab huī hai ġham kī yūrish har taraf se be-hisāb
maiñ ne ḳhushiyāñ baañT diiñ aur ḳhud nihattā rah gayā
har koī tark-e-ta.alluq par musir hai ab 'ḳhayāl'
aa mire dil tū bhī aa jā kis kā dhaḌkā rah gayā
Top Urdushayar.com