āzurdagī kā us kī zarā mujh ko paas thā
maiñ varna aaj us se zyāda udaas thā
sūraj nahīñ thā duur savā neze se magar
merī anā kā saaya mire aas paas thā
ab aa ke so gayā hai samundar kī god meñ
dariyā meñ varna shor hī us kī asaas thā
rūheñ uThīñ gale milīñ vāpas chalī ga.iiñ
is raaz ke chhupāne ko tan par libās thā
paḌh kar jise ubharne lageñ an-ginat savāl
aise hī ik fasāne kā vo iqtibās thā
ab aa ke barf pighlī hai kuchh e'tiqād kī
jis ko yaqīñ samajhte rahe ham qayās thā