Aftab Shamsi

sabhi bichhaD gae mujhse guzarte pal ki tarah

Aftab Shamsi

Pilibhit, Uttar pradesh, India

1930
sabhī bichhaḌ ga.e mujh se guzarte pal kī tarah
maiñ gir chukā huuñ kisī ḳhvāb ke mahal kī tarah
navāh-e-jism meñ rotā-karāhtā din-rāt
mujhe Darātā hai koī mirī ajal kī tarah
ye shahr hai yahāñ apnī hī justujū meñ log
mileñge chalte hue chiyūñTiyoñ ke dal kī tarah
maiñ us se miltā rahā aaj kī tavaqqo par
vo mujh se duur rahā aane vaale kal kī tarah
nagar meñ zehn ke phir shaam se hai sannāTā
udaas udaas hai dil 'mīr' kī ġhazal kī tarah
niDhāl dekh ke bistar meñ niiñd kī pariyāñ
phir aaj mujh se ḳhafā ho ga.ī haiñ kal kī tarah
Top Urdushayar.com