Aftab Shamsi

talash-e-qafiya mein umr sab guzari hai

Aftab Shamsi

Pilibhit, Uttar pradesh, India

1930
talāsh-e-qāfiya meñ umr sab guzārī hai
tū puḳhtagī jise kahtā hai ḳhām-kārī hai
sabhī haiñ apne magar ajnabī se lagte haiñ
ye zindagī hai ki hotel meñ shab guzārī hai
vo saare din rahā daftar meñ aur raat Dhale
nazar ke kaase meñ ik ḳhvāb kā bhikārī hai
kuchh aisā bichhḌā huuñ ḳhud se ki mil nahīñ saktā
agarche kaam ba-zāhir ye iḳhtiyārī hai
na jaane kyuuñ mirī āñkhoñ meñ chubh rahī hai aaj
safed saarī pe jo ye siyāh dhārī hai
mujhe class meñ aksar ye qaul yaad aayā
vo kāmyāb moallim hai jo madārī hai
Top Urdushayar.com