Aftab Shamsi

der tak raat andhere mein jo maine dekha

Aftab Shamsi

Pilibhit, Uttar pradesh, India

1930
der tak raat añdhere meñ jo maiñ ne dekhā
mujh se bichhḌe hue ik shaḳhs kā chehra ubhrā
qasmeñ de de ke mire hāthoñ ne mujh ko rokā
maiñ ne dīvār se kal naam jab us kā khurchā
dekh kar us ko lagā jaise kahīñ ho dekhā
yaad bilkul nahīñ aayā mujhe ghanToñ sochā
mom-battī ko galātā rahā dhīre dhīre
raat añdhere kā mire kamre meñ bahtā laavā
kitne maġhmūm ġhazāloñ kā bharam rakhtā hai
narm kapḌe se tarāshā huā kaalā burqa
qadr ab ho ki na ho zehn-e-rasā kī lekin
aa hī jaatā hai kabhī kaam ye khoTā sikka
saare din merī tarah jaltā hai aur shaam Dhale
har-bun-e-mū se lipaT jaatā hai merā saayā
apne hoñToñ pe sajā letā huuñ maiñ jhūTī hañsī
apnī palkoñ meñ chhupā letā huuñ jaltā dariyā
maan lo merī jo hai us pe qanā.at kar lo
ab nahīñ utregā is duniyā meñ mann-o-salvā
Top Urdushayar.com