Aftab Shamsi

koi achchhi si ghazal kanon mein mere ghol de

Aftab Shamsi

Pilibhit, Uttar pradesh, India

1930
koī achchhī sī ġhazal kānoñ meñ mere ghol de
qaid-e-tanhā.ī meñ huuñ maiñ mujh ko aa kar khol de
ye tanāv jism kā baḌhne nahīñ degā tujhe
chust pairāhan meñ tū apne zarā sā jhol de
ek laḌkī jal rahī hai chilchilātī dhuup meñ
koī bādal aa ke us par apnī chhatrī khol de
raah takte jism kī majlis meñ sadiyāñ ho ga.iiñ
jhāñk kar andhe kuñ.eñ meñ ab to koī bol de
maiñ ḳharīdār-e-vafā huuñ tū giraftār-e-vafā
merī bāñhoñ meñ thiraktā jism apnā tol de
der tak banjāra kal koī sadā detā rahā
kaun hai bāzār meñ jo jins-e-dil kā mol de
jaane kab se faisla qismat kā sunñe ke liye
muntazir baiThā huuñ maiñ tū apnī muTThī khol de
sher achchhe hoñ to be-gā.e bhī mil jaatī hai daad
tū ḳhudārā lahn ke hāthoñ meñ mat kashkol de
Top Urdushayar.com