Shiv Charan Das Goyal Zabt

saqi-e-dauran kahan wo tere mai-KHane gae

Shiv Charan Das Goyal Zabt

Delhi, India

1918
sāqī-e-daurāñ kahāñ vo tere mai-ḳhāne ga.e
vo ināyat vo saḳhāvat jām-o-paimāne ga.e
ai mirī himmat zarā kuchh aur merā saath de
aa ga.ī nazdīk manzil duur vīrāne ga.e
chain se soyā huā thā intizār-e-hashr meñ
aap merī qabr par kyuuñ phuul barsāne ga.e
ai musībat terā aanā bhī hai goyā mo.ajiza
dost aur dushman ke saare farq pahchāne ga.e
ab pashemāñ huuñ ki kyuuñ un ko kahā va.ada shikan
ik zarā sī baat par muddat ke yārāne ga.e
bandagī kā maqsad-e-ālā to puurā kar diyā
sajda karne ham haram ko yā ki but-ḳhāne ga.e
'zabt' apnī dil-lagī ke vāste jalte haiñ sab
sham.a jab bujhne lagī to duur parvāne ga.e
Top Urdushayar.com