Shiv Charan Das Goyal Zabt

na jab tak dard-e-insan se kisi ko aagahi hogi

Shiv Charan Das Goyal Zabt

Delhi, India

1918
na jab tak dard-e-insāñ se kisī ko āgahī hogī
na paidā ishq hogā aur na dil meñ raushnī hogī
vo nikle hoñge jab sahn-e-chaman meñ be-naqāb ho kar
nazar āḳhir nazar hai be-irāda uTh ga.ī hogī
namāzī jā rahe haiñ aaj kyuuñ sū-e-sanam-ḳhāna
bahār-e-be-ḳhudī shāyad vahāñ bhī aa ga.ī hogī
na jaane dekhiye kab tak rahe mashq-e-sitam mujh par
kahāñ tak bekasī merī kisī kī dil-lagī hogī
na kar ab tazkira us bazm-e-rindāñ ke ujaḌne kā
kisī kam-zarf ke aane se mahfil uTh ga.ī hogī
hamārī ḳhāmushī kah degī afsāna zamāne kā
tumhārī guftugū mohtāj-e-sharh-e-zindagī hogī
khulegā raaz terā 'zabt' us din un kī mahfil meñ
ki jab dil kī kahānī āñsuoñ meñ Dhal ga.ī hogī
Top Urdushayar.com