havas kā daam phailāyā huā hai
dil-e-ma.asūm ghabrāyā huā hai
kisī shīshe pe baal aayā huā hai
dil-e-ġhamnāk tharrāyā huā hai
tamannā ḳhuld kī aur mai-parastī
ye vaa.iz kis kā bahkāyā huā hai
kahāñ le jā.ūñ raġhbat āshiyāñ kī
añdherā har taraf chhāyā huā hai
jahāñ ho kār-farmā zar-parastī
vahāñ zauq-e-ḳhudā aayā huā hai
ḳhudārā is taraf bhī ik nazar ho
kisī ne haath phailāyā huā hai
zabān-e-'zabt' ne urdu zabāñ meñ
gul-e-sad-barg mahkāyā huā hai