Shahid Ahmad Shoaib

ai nigar-e-gham-o-alam teri umr daraaz

Shahid Ahmad Shoaib

ai nigār-e-ġham-o-ālam tirī umr darāz
tū ne baḳhshe bahut ārām tirī umr darāz
shahr meñ dasht meñ sahrā meñ jahāñ bhī dekhā
ab hai mash.hūr mirā naam tirī umr darāz
surḳh-rū ab bhī tū har kūcha-o-bāzār meñ hai
apne sar haiñ sabhī ilzām tirī umr darāz
fasl-e-gul aa.ī thī le le ke tirā naam ga.ī
tū kahāñ phirtā thā nā-kām tirī umr darāz
sub.h ne phir mire zaḳhmoñ se ujālā māñgā
ek zaḳhm aur mire naam tirī umr darāz
dil ke tārīk ḳharābe meñ tirī yaad kā nuur
aaj aayā hai baḌe kaam tirī umr darāz
chhoḌ kar phūloñ kī rut phuul se chehroñ ko 'sho.eb'
tujh ko vīrāne se kyā kaam tirī umr darāz
Top Urdushayar.com