ai nigār-e-ġham-o-ālam tirī umr darāz
tū ne baḳhshe bahut ārām tirī umr darāz
shahr meñ dasht meñ sahrā meñ jahāñ bhī dekhā
ab hai har samt mirā naam tirī umr darāz
sub.h ne phir mire zaḳhmoñ se ujālā māñgā
ek zaḳhm aur mire naam tirī umr darāz
mere tārīk ḳharābe meñ tire dard kā nuur
aaj aaya hai baḌā kaam tirī umr darāz
koī manzil na koī rāhguzar terā karam
koī āġhāz na anjām tirī umr darāz
chhoḌ kar phūloñ kī rut phuul se chehroñ ko 'sho.eb'
tujh ko vīrānoñ se kyā kaam tirī umr darāz