dam ajnabī sadāoñ kā bharte ho sāhibo
har lamha apnī jaañ se guzarte ho sāhibo
kyā jaane kyā hai baat ki har samt bhiiḌ meñ
apnā hī chehra dekh ke Darte ho sāhibo
tum bhī ajiib log ho kāñToñ kī raah se
kaise lahūluhān guzarte ho sāhibo
ik ajnabī sī aag hai jal ke is meñ aaj
kis zindagī kī khoj meñ marte ho sāhibo
kyā jaane kis guhar kī tumheñ justujū hai kyuuñ
dariyāoñ meñ lahū ke utarte ho sāhibo
itnā bhī phūñk phūñk ke rakhte nahīñ qadam
ab kunj-e-āfiyat se bhī Darte ho sāhibo
ab ye zamīn bhī na ḳhalāoñ kī ho shikār
kyuuñ apne āsmāñ se utre ho sāhibo