Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub

ada-shanas tera be-zaban nahin hota

Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub

Orai, Uttar pradesh, India

1884-1944
adā-shanās tirā be-zabāñ nahīñ hotā
kahe vo kis se koī nukta-dāñ nahīñ hotā
sab ek rañg meñ haiñ mai-kade ke ḳhurd o kalāñ
yahāñ tafāvut-e-pīr-o-javāñ nahīñ hotā
qimār-e-ishq meñ sab kuchh gañvā diyā maiñ ne
umīd-e-nafa.a meñ ḳhauf-e-ziyāñ nahīñ hotā
sahm rahā huuñ maiñ ai ahl-e-qabr batlā do
zamīñ tale to koī āsmāñ nahīñ hotā
vo mohtasib ho ki vaa.iz vo falsafī ho ki shaiḳh
kisī se band tirā rāz-dāñ nahīñ hotā
vo sab ke sāmne is sādgī se baiThe haiñ
ki dil churāne kā un par gumāñ nahīñ hotā
jo aap chāheñ ki le leñ kisī kā muft meñ dil
to ye muāmlā yuuñ mehrbāñ nahīñ hotā
jahāñ fareb ho 'majzūb' ye tirī sūrat
butoñ ke ishq kā tujh par gumāñ nahīñ hotā
Top Urdushayar.com