yuuñ dekhne ko dekhte rahte haiñ ḳhvāb log
rakhte haiñ roz-o-shab kā bhī lekin hisāb log
ik roz zindagī ne kiyā thā koī savāl
kyā jaane kab se DhūñD rahe haiñ javāb log
har chehra-e-savāl se karte ho ḳhud savāl
tum log bhī ho shahr meñ kyā lā-javāb log
har āsmāñ ko apnī zamīñ tak utaar laa.e
kyā kyā na kar guzarte haiñ ḳhāna-ḳharāb log