rahbar milā na ham ko koī rahnumā milā
rahzan-sifat hī jo bhī milā ham-navā milā
har shaḳhs be-hisī hī kā ik aa.ina milā
har roz is nagar meñ nayā sāneha milā
tum bevafā hue to zamāna milā tumheñ
ham bā-vafā hue to nayā āriza milā
fashion meñ ġharq haiñ vo taraqqī ke naam par
nām-o-numūd ko bhī nayā zāviya milā
do dostoñ meñ DhūñDte haiñ aap rābta
do bhā.iyoñ meñ ham ko baḌā fāsla milā
maañ baap ne to baḳhshī thī aulād ko ḳhushī
ab kyuuñ nahīf hone pe hai hāshiya milā
us kī navāzishāt 'umar' ġhaur to karo
jis ne ḳhudā kī maan liyā rāsta milā